top of page
Search

Mohabbat Ke Do Pahlu

thegroomingcafe
Mai ab kya bataun us Mohabbat ke baarein mein…

Mai ab kya bataun us Mohabbat ke baarein mein Har subah jaldi uth kar apne chat pr chala jaata tha Woh apne nanu ke saath meri galiyon se guzarti thi Nazrein milti, honth muskarate aur dil me dhadkan ki awaz sunayi deti

Mai ab kya bataun us Mohabbat ke baarein mein Sham ko unse Milne ke liye bekarar dil yeh bhi nahi samajh pata ki unka bahar nikalna assan nahi Apni choti behen k saath jb woh ghar ki peche wali gali me nikalti to bas lagta ki koshish ek tarfa nahi

Mai ab kya bataun us Mohabbat ke baarein mein Har raat sabke sone ke baad unke phone ka intezaar Karna Mano zindagi ka sabse muskil imtehaan hogaya tha Par jaise hi phone ki screen pr unka naam dikhta to lagta is imtehaan me poore 100 number ka saath tha

Mai ab kya bataun us Mohabbat ke baarein mein Ab zindagi humari bahut badal chuki hai unki kagaz PR kisi aur ki kalam ki shyahi bikhri padi hai Aaj bhi hum Auron ke likhe khat ko inkaar kar rahe hai Aur hum aaj bhi unka Kahin na kahin intezaar kar rahe hai

Aasan nahi hai, Dosti mohabbat nahi, mohabbat dosti nahi hai Rishtein naam se nahi chalte hai, paegam se chalte hai

Mai ab kya bataun us Mohabbat ke baarein mein Bas itni si baat thi, Ek Ladki thi jiski aakein to sach kehti pr ab Kya fayda Na hum unki aankein padh pate aur woh, Woh badi asani se humse jhooth keh leti

10612727_970199269715638_5318058530278109683_n

RAHAT PERVEZ


Woh Mohabbat jo Aaj bhi dafan hai seene mein kaheen…

Woh Mohabbat jo Aaj bhi dafan hai seene mein kaheen Uski galiyon se bahane bahane guzra karti Bss use Ek nazar dekhne bhar ko huzaar jatan kiya karti Uski bhi muskurati nazrein door tak peecha sa karti aksar Aisa lagta tha

Woh Mohabbat jo Aaj bhi dafan hai seene mein kaheen Jab bhi Usse milne ko ghar se bahar Jana hota tha Jhute suchche bahano se sabko bahlana hota tha Chhoti ko ghumana toh kabhi Sunday ko bhi classes Jana hota tha Gali ke mor pe Usko dekh Bss itna hi lagta k haan iss safar me tanha nahi hun main

Woh Mohabbat jo Aaj bhi dafan hai seene mein kaheen Sabke sone ke intezaar mein damsadhe main jaga karti Dhadkano ki barapte shor ko nazar andaaz kar jab adhi Raat ko Uska no. Dial karti tab pahli hi ring pe uska hello sun Ek sukoon sa dil me andar tkk utar jata ke haan iss safar mei tanha Nahi hun main, tanha nahi hun main

Woh Mohabbat jo Aaj bhi dafan hai seene mein kaheen Ab jab ke woh sar e Aam mujhe bewafa bulata hai Mere dhoke ke qisse likh apni kahaniyon ki dukaan chalata hai Usse bss itna hi kahna hai k jin sholon ko woh huwa de raha hai uss aag me Mera sab kuchh jal chuka hai

Khud bharose ka qatal kar kisi ka bewafa naam rakhdena, Kitna aasaan hai na Apna gunaah kisi aur ke sar madh dena

Woh Mohabbat jo Aaj bhi dafan hai seene mein kaheen Aaj bhi mujhko der gaye jugaati hai Apni bebasi pe zaar zaar rulati hai Woh ladka jiski ankhe toh such kahti thi magar afsos ke such padhna na aaya un ankhon ko

rrr

RAHAT ZABIN


Mohabbat ek aaina hai… Jisme ek tasveer hai to ek haqeeqat… yeh hum aap par chorte hai ki aapke liye haqiqat kya aur tasveer kya!!!

RAHAT

 
 
 

Comments


Post: Blog2_Post

Subscribe Form

Thanks for submitting!

8884658196

INDIA

  • Facebook
  • Instagram
  • LinkedIn
  • Twitter

©2020 by Grooming Cafe. Proudly created with Wix.com

bottom of page